Wednesday, August 9, 2006

Song: Teri Yaad Jab Ati Hai

by Lucky Ali

Teri yaad jab aati hai
Meri ankh bhar jaati hai
Tum tou bichre youn mil mil ke
Khaab toote hain is dil ke
Yehi gham mujhe satai ga
Phir tu laut ke na aaye ga
Phir bhi tere aane ka intezar karta hoon
Pyar sirf tum se
Pyar sirf tum se, pyar karta hoon

Main ne wada tou nibhaya tha
Soncha kabhi na sataya tha
Phir bhi jane anjane mai kahein
Tera dil tou na dukhaya tha
Kaisa dastoor hai jana
Sabh kuch jaan ke hai sabh seh na
Pyar tujh pey jaan nisar karta hoon
Pyar sirf tum se
Pyar sirf tum se, pyar karta hoon

Sunle sada
Sunle sada
Sunle sada
Sunle sunle-o
Sunle sada

Sunle

Teri sehmi sehmi batoun mai
Khoya chund mulakaton mai
Aaye nazar woh sare makaam
Tera pata yaad hai na naam
Yeh dil tujhe na bhoolaiye ga
Kya tu phir se laut aaye ga

Mai tou kudh ko beykarar bar bar karta hoon
Pyar sirf tum se
Pyar sirf tum se, pyar karta hoon

Pyar sirf tum se
Pyar sirf tum se

No comments:

Post a Comment